Saturday, December 29, 2012

29th Dec- (Delhi gang RAPE)


Jeene ka maan toh sabhi ko hai... phir mujhe jeene ka haq kyun nahi???
Azad hone ka haq sabko hai... phir mujhe azad hone ka haq kyun nahi???
Tum larke ho toh boxers mein ghum sakte ho, aur main larki hoon per borkhe mein v main safe nahi hoon.
Tumhari zindigi mein,
Maa banke jeena sikhayi, behen banke tumhari har galti chupai,
Ek dost banke hamesha tera saath nibhai, pyaar banke pyaar ka matlab sikhayi,
Biwi banke tere ghar ko sawari, toh dadi/nani banke tere bachpan ko sajhai,
Mujhe sabke samne yun zaleel karte waqt, tujhe zara sa v sharam nahi ayi?

Har roz ek maut marti hoon,
Kabhie bahu banke aag mein jala di jati hoon, toh khabie apne pati ke hi hawas ka sikar ho jati hoon.
Society ne toh mujhe entertainment ka package bana ke bata hai,
Kuch ko bazar o bechte ho aur kuch ko dusre ke ghar bhejte ho,
Kaam toh dono ka hi same hai, aisa lagta hai apke manoranjan ke liye hi toh bane hai.
Sabko toh sirf mera jism se matlab, mere tute khawab se hai kisiko kya farak,
Ab toh aisa lagta hai, sahi mein, mujhe jeene ka nahi hai koi haq...

Har Devi ko kya tum sirf naam se hi pujte ho, ya phir tum unhe v UNHI nazro se dekhte ho?
Jo aurat jaat tumhe janam deti hai, tum uski hi izzat loot te ho...
Tumhare tarah main v ish Duniya ka heesha banna chahti hoon,
Tumhar tarah main v azad hona chahti hoon,
Kya bohut zadya tumse mangleti hoon?

Kanoon mein toh har choti galti se badi gunaah tak ki saza di jati hai,
Lekin kyun phir RAPE ki saza maaf ki jati hai?
Agar ghar ka beta bahar kaam per jaye, aur raat ko ghar na aye, toh karta hai woh mehnat ka kaam
Aur wahi ghar ki beti ya bahu kaam per jaye, aur phir raat ko ghar na aye, toh kyun karte ho use badnaam?
yeh samaj ka kaisa kanoon hai tumne banaya,
Jahan larko per hai har cheez ki azadi, aur larkiyo per bas hai pawandi....


Dosh de v toh kise de, samaj ka har insaan hi toh galat hai,
Kehte toh hai hum sab apne apko Well educated, lekin sooch apni abhi v kafi choti hai.
Ek ghante tak jab woh LARKI rasto per padi thi, tab toh kisi ne chaddar tak nahi di uske upar,
Ab candle march aur protest karne nikle hai sab...
Ish hadse se pehle v kitne aurat o per kiye gaye hai attyachar,
Aur is Society per pura hai biswas ke aise hadse hume dekhne ko milenge bar-bar....

Ish desh mein,
ab na dharti hai sunehri,
na amabr hai neela,
yaha toh char o taraf hai bas andhera,
AISA DESH HAI MERA, HAAN AISA DESH HAI MERA!!!!!

No offence to any one, scribbled down sumthing whn i heard SHE IS NO MORE...
May her soul Rest in PEACE...

No comments:

Post a Comment